Tuesday, 17 December 2013

Jinn or Shaitaan insan pa kab kabza kartay hain?


jinnato ma mukhtalif nasal, rang, jisamat, taqaat, mazhab, or qoomain hain jinn ko mukhtalif namo sa jana jata hain jasa ka
daou
pary pari
jinn
bhoot
chorail
pichan pairi
chalawa
nut
humzad
arwa
bala
bad roh
wagaira wagaira sab hi aag sa banay hain in ma kuch asay hain jo shaitan ki nasal se hain jo hamasha hamasha jahanum ki aag ma jalay ge or kuch asa hain jin ko acha bora ka hisab dana hoga

Aam tor par insanno ma jinn bhot chorail jab dakhil honay ma kamyab hote hain jab ya tamam halaten insan ki hon

Nashay ki halat ma
Neend ki halat ma
Gussa ki halat ma
napaki ki halat ma
Daar or khoof ki halat ma


Note:  ya tamam halat wo hain jin ma insan apnay hosh kho jata hay tab hi shaitan ko moka milta ha


Neend ki halat ma
sab se ziada jinn bhoot chorail wagaira humlay ka lyan rat ka intazar karte hain takay insan so jaie or wo apnay hosh kho dae r asani se apni karwai ki ja sakay isi lyan amoman sote waqt hi bad roh jisim ma gusna ki koshish karti ha or jinn bhoot chorail bhi apna amal rat ko insan pa karte hain
isi lyan Islam ma bataiya giya ka sonay se phala sonay ki doa parh k so or darood alhamdo, 4 kul, ayatul kursi ya sab 3 bar parh ka har taraf dum kar ke sona chahiya to insan bad roh shaitan jin wagaira se mehfooz rahta ha lakin agar jadu ka asar ha to us ka lyan Quran ki dosari ayato ka zariya khatam kya jata hay


Nashay ki halat ma

  insan apnay hosh pori tarha qaeem nahi hotay asi halat ma jinn or shaitan us pa asani se qabiz ho jate hain
isi lyan bhi islam ma nasha haram hay

Gussa ki halat ma
Gussa ki halat ma bhi insan apni aqal kho data hay or shaitan us par qabiz ho jata ha or dunya ma ziada tar qatal gusa ki hi halat ma kiya jatay hain
islam ma gussa haram ha jab gussa aie to Nabi Pak S.A.W ki sunnat par amal karte hawa shaitan se Allah ki panha mangni chahiya

napaki ki halat ma
aik pak saff rahna wale insan par jinn jadu shaitan wagaira us shiddat sa hamla nahi kar patay jis tarhan wo aik na pak rahanay wala par kar patay hain isi lyan Allah ne farmaya hamasha pak raho or namaz qaeem karo
or jab bathroom jana ho to jo dua Nabi Pak S.A.W ne hum ko bataie hain wo parh ka jae us doa ko parhna se shaitan jinn wagaira hum ko bathroom ma nahi dakh sakte aik parda dal diya jata hay us waqt insan or jinno ka darmiyan ma
aksar is door ma jawan larkio par jinn nahatay ma hamla karte hain wo hamla karne ma islyan kamyab hojate hain kyon ka ajj kal nasaal deen se door ha or koi bhi bathroom ma jane ki doua nahi parhta kapra badalna ki doa nahi parta

jasa ka har jagha jinn chorail bhoot wagaira mojood hote hain aj kal ya baat aam hoti ja rahi ha ka jawab larki pa koi jinn bhoot ashiq hogiya or us larki ki tamam zindagi kharab kardi ya jinn bhoot ashiq is lyan hote hain ka aj kal larkiyo na parda karna (abaya pahana) chor diya jab larkia bagair nakab (abaya) ka college school park ya kahi bhi jaie gi to zahir ha jinn or shaitan ki nazar un pa parha gi or wo pichay lag saktay hain agar hamari zindagi islam ki asoolo ka mutabik ho to hum ko zindagi ma itni parashaniya na othani paray.






Daar or khoof ki halat ma
yaa sab sa badha raaz ha jo aam logo ko nahi pata jinn bhoot chorail wagaira jab tak kisi bhi insan ma nahi guss sakte jab tak ka us ka dil ma daaar na bath jaee isi lyan jinn bhoot sab se phala insan ko daranay ki koshish ma lag jata hain or jab insan ko wahshat mehsoos honay lagti ha to insan ka dil ma dar bath jata ha bus jasay hi dar bathta ha jin woran us par hamla kar data ha

aksar jab jadu gar kisi bhoot jin chorail ko kisi par bhajta ha to wo cheez direct us insan par nahi atie sab se phale wo us ko daranay ki koshish karti ha kyon ka mazboot dil or dimag wale par ya cheeze control nahi kar patie or jab insan 2 din 3 din ma cheez ko mehsoos karne lage or us ki wahshat apna dil ma bitha la to bus wo cheez qabiz ho jatie ha or us par hazir ho jatie hay

amooman bachay or orrato ka dil chote hote hain islyan un pa asani sa hazir ho jatie hain

agar koi shakhs dil or dimag ka bohot mazboot ha to us par cheez hazir nahi hosakti lakin phir bhi us ka kam bigarti rahe gie us ko tang karti rahe gie
jo log Quran ki talawat or namaz pabandi se parhtay hain agar un par koi pichay lagi hoi cheez ha to wo namaz or Quran sun ka kuch hi din ma bhag jaie gi lakin agar kisi jadu gar ki bhaji hoi cheez ha to wo namaz or Quran se takleef othay gie lakin phir bhi picha asani se nahi chora gi jab tak kay us ko bhaganay ka lyan Quran ki khass ayaat jo jadu ka kat ka lyan hain wo na parhi jaie





Allah Hafiz
ahmedkhanmission@gmail.com

No comments:

Post a Comment